Chand Jalta Raha
Meri ankhon mai ansoo phigalta raha, chand jalta raha
Teri yadon ka sooraj nikalta raha, chand jalta raha
Koi bistar pe shabnam lapaitay huay khuawb dhaikha kia
Koi yadon mai karwat badalta raha, chand jalta raha
Meri ankhon mai campus ki sab satain jagti hain abhi
Nehar per tu meray sath chalta raha, chand jalta raha
Mai to yeh janti hoon ke jis shab mujhay chor kar tum gai
Asmano se shola nikalta raha, chand jalta raha
Rat aye to kya kya tamashay huay tujh ko maloom hai?
Teri yadon ka sooraj ubalta raha, chand jalta raha
Rat bhar meri palkon ki dehleez per khuwab girtay rehay
Dil tarapta raha, hath malti rehi, chand jalta raha
Yeh december ke jis mai kari dhoop bhi meethi lagnay lagay
Tum nahi to december sulagta raha, chand jalta raha
Aaj bhi woh taqadus rat mehki hui hai
Mai kisi mai, Koi mujh mai dhalta raha, chand jalta raha
|